Tuesday, August 23, 2016

Sunehri yaadon ki galiyon mein

Sunehri yaadon ki galiyon mein
aaj phir se tehelke aaye,
jisko dekhkar yeh dil dhadaktha tha
aaj us dhadkan se milke aaye.

un khuli zulfon mein khelti hui hawaaiyen
hamaare chehre ko savarthi gayee,
pyaar se pehli mulaqaat thi woh
jab hum aapki aankhon mein kaidh ho gaye

Un aankhon ki wohi sharaarat
Is dil mein aaj bhi lehren jagaa rahi hain
Saal guzar gaye, hum badal gaye
Aapki adaa aur meri aashiqui waisi hi reh gayee

Roke na ruke yeh kadam
Aapki taraf chal pade,
Saalon guzar gaye aapko dekhe hue
Ishq ki galiyon mein aaj dobaara mitne chalen

Aapki aur bhadthe hue har kadam pe
Woh saare haseen pal jhalakne lage
Jab hum dil ki baat sunaane aate the
aur aapki baaton mein, sab bhool jaate the

sau baar mile, hazaaron baatein ki
par dil mein jo baat thi, woh izhaar kar na sake
apni is dastaan ki kitaab tho likh di
par kai panne, dil mein hi chupaa liye

un panno ko kholne ka aaj mauka tha
phir bhi hum khamosh rahe
chup chupke pyar karne ka mazaa hi kuch aur hain
shaayad hum is maze mein hi mit jaayenge


Sunehri yaadon ki galiyon mein
aaj phir se tehelke aaye

No comments:

Post a Comment